Forum Posting

Jee janab Forum posting bhi bilkul blog postings ki tarah hi hai Aap Google pe Bohat saray Aisay forum search ker saktay hain Aapko kerna sirf yeah ho ga ke Aap Kuch Aisay forum search kerien jo ke Aapki site yan blog ke related hoon ... Aur wahan ik Account banien Phir us forum pe apnay User panel main jaa ke Edit signature pe click kerien wahan Aap Apni Site ka link us keyword ke sath signatures main dal dien jis keyword per aap apni site ko google top pe dekhna chatay hain ... Phir us forum pe Posting Kerny shuroo ker dien ... yaad rakhien Jitna Aap apni site ke relevant Forum pe posting kerien gay aap ko utna hi faida ho ga kion ke us forum pe wohi aye ga jisko us topic se interest ho ga aur agar aap ka link use nazar aye ga ke yeah bhi mairay interest se match kerta hai wo aapke link pe zaroor keray ga ... Kuch forums signature allow nahi kertay kuch kertay hain lakin un main se kuch khas forums ke kuch rules hotay hain wo yeah pasand nahi ekrtay ke koi aveen moun utha ke aye aur hamray site pe Apni site ke link dal ke chala jaye chaye signatures main hi kion na hoon wo ise spamming samjhtay hain ... To Aap koshish kerien ke posting kuch aisay acchay tareekay se karay ke wo chahnay ke her post read kernay wala aap se impress ho is main aapka thorda sa time to zaida waste ho ga ke khud ko us forum ke mutabiq dhalna aur special us forum pe posting kerny lakin iska yeah faida ho ga ke jitny acchy aapki post ho gi utna hi log aap ki site main interest lien gay wo kahien gay ke haan is banday ne itny acchy baat ki hai iski site bhi khas hi ho gi aur doosra faida yeah ho ga ke forum owner yan admin us post ko delete nahi keray ga To koshish kerien ke forum join kerien lakin as a acchay member ki tarah aur samjhdar banday ki tarah post kerien ... kion ke aapki post jitny acchy ho gi utny dare tuk wo us forum pe rahay gi aur jitny dare tuk wo forum ho ga wahan se aapko traffic aur back link miltay rahien gay ...

Social Bookmarkin Or Social Media Networking

Aslam_O_alikum ,

Jee Bohat arsay bad time mila ke post ker sakoon Sachi main bilkul time nahi mil raha tha , khaire To last message main main ne Aapko Blogroll and link exchange ke baray main batya tha ...

ab main aap ko social Bookmarking ke baray main batoon ga.

Social media networking (SMN) Ke Real main To yeah meaning bantay hain ke Kuch Communities Hoon Aur unpe Aap apnay friends ke sath baat ker sakay aur Apnay interest share Ker sakay . Aur SEO Ke liye social media networking bohat zaroori hai , Aap Kisi bhi social media network pe apna Account banien wahan Kuch friend banien aur unke sath apni site share kerien is se to yeah ho ga ke wahan Se aapki site ko back link bhi millay ga aur visitors bhi aien gay Agar aap ki site interesting hai to Aap ke friend apnay friends ko send kerien gay aur unke friends apnay friends ko is tarah aapki site circle main rahay gi yeah to huwa social media networking ka bunyadi Faida ... lakin iske liye zaroori hai ke Aap Wahan Regulary online hoon aur friend banien zaida se zaida ...lakin her kisi ke pass itna time nahi hota ke Wo daily 20 se 30 minute aik site ko de sakay is liye SEO Experts Social media networking ko just As a Social Bookmarking ke liye use kertay hain ... Ke bas gay aur wahan apna account banya Aur aapni site ko bookmark ker ke bhool gay . Aap agar time de saktay hain daily yan her 2 aur 3 din bad in sites pe to Zaida faida hasil ker saktay agar nahi to fir bhi koi masla nahi Aapko kuch na kuch free main faida mil hi jaye ga ... yani ke aapki site ko back link bhi millay ga aur zaida interesting hoi to log khud aik doosray ke sath share kerien gay aur aapki site visit kerien gay ...
Ab main aap ko kuch Top ki social bookmarking sites batoon ga jin pe aap ka time to kum waste ho lakin faida zaida se zaida ... Waisay Sites to iski hazroon ke hisab se hain Lakin Kaam ki kuch kum hi hain aur main aapko Sirf wohi sites batoon ga Jo Zaida benefit dien aapko aur aapka time bhi kum le ...aur sab mery favorite hain Aur main inko regularly use kerta hai Aur Yeah sab regular base pe mujhe visitors aur back links bhi de rahien hain is liye main unko use kerna pasand kerta hoon ...

1 : Folkd.com

Mairay Khayal Main Yeah Sab se best Social bookmarking ki site banty hai ... Aap is site pe sirf account banien aur iska toolbar install ker lien aur phir Aap Apni Site ke her single page ko Sirf ik click ke sath is pe bookmark ker saktay hain ... iski sab se acchy cheez yeah hai ke Aap Apni site ka her aik page bookmark ker saktay hain is se yeah ho ga ke ik to Aap ki site ke her page ko back link milna shuroo ho jaye ga aur Log Aapke her page ko visit kerien gay is se aapke home page ki ahmiyat to bannay gi hi sath sath main inner pages ko bhi ahmiyat milay gi aur iski sab se acchy baat yeah hai ke yeah aapki site ko zaida nahi to 5 back links zaroor de ga


2: Furl.net
Is Site pe bhi aap usi tarah account bana ke toolbar install ker ke Apna her link Bookmark ker saktay hain aur yeah aapko block bhi nahi kerien gay ...iski sab se acchy baat yeah hai ke agar aapne abhi new site banye hai aur google ne index nahi ki To Aap is site pe apnay saray page bookmark ker dien to Aapki site 12 hours ke ander ander google main index ho jaye gi aur to aur bohat saray keywords pe yeah search bhi hona shuroo ho jaye gi ... yeah site page index kernay main madadgar sabit ho sakty hai lakin yeah back link aapko aapki kismet se hi de gi iska sure nahi hai ke yeah backlink dety hai ke nahi


3: Stumbleupon

is site pe bhi aap account bana ke apna her page bookmark ker saktay hain lakin yeah Back link bohat mushkil se millay ga lakin Is pe bookmark kernay se Aapko Traffic bohat millay gi , agar Zaida traffic genrate kerny ho social bookmarking se to yeah Sab se Faida mand site hai .

4: Digg.com

Social media networking main yeah site to no1 Pe aty hai lakin main ise no4 pe rakhoon ga kion ke Aik to yeah aapko aik din main aapki site ka aik hi page index kernay de gi zaida aap kerien gay to yeah aapka Account aur aapki site dono ko block ker de ga. Lakin is pe Apni site bookmark kernay ka yeah faida hai ke google is site ko her 15 minute bad update kerta hai aur agar aapki site ka link iske oper para huwa To Google usko usi waqat index ker le ga ...

5: Propeller.com

yeah bhi digg ki tarah ki hai lakin google isko bohat ahmiyat deta hai is pe bhi aap aik waqat sirf aik page hi bookmark ker saktay hain digg ki tarah haan yeah ho sakta hai ke aap is pe aur digg pe her weak bad aik page bookmark ker dien fir yeah bura nahi manien gay.

6: del.icio.us

yeah bhi best site manny jaty hai bookmarking main lakin yeah aapko back link nahi de sakty is ke oper bhi aap apni site ka her page bookmark ker saktay hain lakin kion ke yeah usa ki site hai to yeah zaida ahmiyat usa ki domains ko0 dety hai aur is ka zaida benift hasil kernay ke liye aapko iska Regular member bana paray ga phir jaa ke aapko iska koi faida ho ga

7 : Connotea.com

yeah site bhi folk ki tarah bohat acchy hai ispe account bana ke aur toolbar download ker ke Aap sirf aik click se apni site ka her page index ker saktay hain lakin kion ke yeah new site hai aur iska page rank bhi kum aur alexa ranking bhi is liye google isko itny ahmiyat nahi deta lakin maray khayal main agar aap is pe apna her page index ker lien gay to yeah aapko digg, my space, facebook se Zaida faida de ga halanke wo world ki best social bookmarking sites hain .

8: MiXX.com
yeah site bhi bohat acchy hai aap is site pe sirf apni main domain hi Bookmark ker saktay hain aur wo sirf 5 minute main ho jata hai lakin agar aap Apni site ke liye kuch acchay se tag laga lien gay to yeah aapki SE ranking barhanay main madad karay ga oper se yeah aapko backlink bhi de ga

9: spicypages.com

yeah bhi mixx ki tarah hi hai lakin agar aap is site ko regular use kerien gay to yeah aapko back link bhi de ga aur daily ke takreeban 5 se 10 visitors bhi de diya karay ga ... lakin uske liye aapko zara time waste kerna paray ga ke yahan jaa ke logoon ko friend banien aur unhain kahien ke wo aapki site ke liye vote kerien ...

10:

10 no pe main kuch aisy social bookmarking sites ke name doon ga jin pe aapko sirf As a regular user ho ke hi faida ho sakta hai ,,

Facebook.com
My Space.com
Wordpress.com


To janab Aap in sites ko check kijye ga i hope aapko bohat faida ho ga aur agar aap ne acchay se inko istamal kerna sekh liya na to aapko seo kernay ke liye kisi aur cheez ki zaroorat bhi nahi paray gi ...
in sites pe Social bookmarking ka sab se bara faida yeah hai ke yeah free hain , Doosra yeah Aapko backlinks de gien Agar aapki site new hai to yeah Aapki sirf in sites pe apni site ko bookmark ekr lien gay to aapki site 12 hours main her major search engine main index ho jaye gi ...Aur to aur yeah aapki SE Ranking main bhi izafa kerien gi aur to aur (lol) yeah aap ke her page ki ahmiyat banien gi jitnay pages aap index kerien gay is site pe insha Allah unka pr bhi aglay pr update main bharay ga Aur aapki traffic bhi increase hoty jaye gi ...

Last line: Agar aapko yeah post acchy lagy aur aapko laga ke aap ka is se kuch faida huwa to please do comment aur agar aapko kisi bhi tarah ki help ki zaroorat ho to bata dijye ga ...

Allah hafiz...