blogroll and Link Exchange

A-o-A ,


Jee janab kaisay hain aap I hope bohat acchay hoon gay aur khush bhi


To main ne Aapko blog posting ke baray main to bata diya tha ab Aapko blogroll Aur link exchange ke baray main bata hoon


Blogroll


SEO Main link exchange aur blogroll bohat ahmiyat Rakhtay hain Khas tord pe us waqat jab Aap blog ki SEO Kerna chatay hain .


Blogroll Asal main Isko ko kahtay hain ke Aap ko koi blog Acchay lagay uski posting uske Article aapko attract kerien to Aap us blog ko Apnay blog main add ker laitay hain ...take Agar koi banda aapke blog pe aye To wo Aapke passndeeda blogs ko bhi visit karay .


yeah to huwa blogroll ka Asli maqsad ... Lakin Iska Sab se zaida faida use hota jiska blog Aap Pasand kertay ho Aur blogroll main hotay ho ... Lakin SEO ke liye blogroll Ke Asli meaning hain ke Aap kisi Blog pe jaien Aur is blog owner Se (khas torde pe agar uska blog running main hai aur log uska blog visit kertay hain to ) Modbana (humbly ) Request kerien ke bhai mujhe Aapka Blog bohat Pasand aya . Main Aapka blog Apnay blogroll main Add kerna chata hoon agar Ho sakay to Aap bhi mara blog Apni blogroll list main add ker lijye ... 95% log To Is Request ko man lien gay kion ke Unke blog ko bhi ik backlink mil jaye ga aur aapke blog ko bhi ...Lakin iske liye Aap koshish kerien ke Pahlay Acchay Acchay se blog Search kerien kion ke doosray banday ka blog jitna accha ho ga Aapko utna hi Faida ho ga ...



Link Exchange



Oper To huwa blogroll Ka taruf jo ke Zaida ter blogs ke baray main Use kiya jata hai ...

Ab hum atay hain link exchange Ki Taraf Link Exchange Same Blogroll ki tarah hai lakin yeah Zaida ter Sites ke liye use kiya jata hai ... Blogroll aur link exchange main koi khas Faraq nahi hai ...blogroll Eassy hai ke Aap blog search kerien un se blogrolls ki request kerien aur bas ...Lakin link Exchange Puerly Sites ke liye use kiya jata hai ...Iske Liye Baqaida Sites bany hoi hain jahan Aap apni Profile banien Aur Apni Site enter kerien Bas phir kiya log jo Aapki site main intreted hoon gay , Wo na ke Aapki site pe visit kerien gay yeah dekhnay ke liye ke kaisy hai Balkay Wo Aap se link exchange kernay ki bhi baat kerien gay ... Waisay kabhi main Ne Acchy tarah Link Exchange nahi kiye kisi ke sath lakin ik jo site is ke baray main Pasand aye hai Wo yeah hai linkmarketDOTnet Hai ...Is site pe kerna sirf yeah hai ke Aap Apni profile banien aur apna link exchange kernay ke liye chorde dien ...uske bad Aapko khud hi e-mail Aa jaya keray gi ke Flan Flan site ka banda aapke sath link exchange kerna chata hai ...
is Site linkmarketDOTnet Pe Profile banay ka Aapko ik to yeah faida ho ga ke Log Aapki site check ekrnay ke liye visit kerien gay (ismain Aapka hi faida hai) Doosra Wo Aapke sath link exchange Kernay ki offer kerien gay (yeah bhi Aapka Faida )* Aur Sab se bara Free ka Faida yeah hai ke Aap Kisi ke sath link exchange kerien na kerien Aapko ik Quality Ka Back link mil jaye ga ( Dekh lien koi khas mahnet nahi Sirf ik Profile banay hai us main apni site ka intro kerwana hai aur bas 5 minute main Aapka Quality ka BackLink tayar )* Yeah site to wo thi jo main ne try ki Lakin Agar Aap Google main link exchange ke related Sites search kerien gay to Aapko lakhoon ki tadad main sites mil jaien gi unko Try kerien Insha Allah Aapke Backlink bardien gay aur Aapki site ki ahmiyat bhi Aur sath main muft ke vistor milien gay yani ke jab tuk Aapki Site ka link us link Exchange kernay Wali Site pe parda hai Aapko vistor miltay rahien
gay ...

ways to improove your back links

ways To Improove your backlinks
Yahan main abhi bas wo tareekay batoon ga jo ik Aam banday ke liye Asan Aur free hoon , Mara blog to hai hi sirf unke liye jo SEO ke baray main zaida nahi jantay Jo zaida jantay hain unke liye Bohat se blog hain , Sites hain Khaire ...Chalye main Aapko Abhi sirf un cheezoon ke baray main Batoon ga jo backlinks improove kernay main madadgar sabit hotien hain
Main abhi sirf unke name hi hilight ker ke batoon ga baki Tafseel kisi aur waqat batoon ga aapko
Insha Allah

Blog Posting

Iske Baray main pahli post main bata diya hai

Blogroll yan link exchanging

Social Bookmarking
Blog Posting se thorda sa mushkil lakin bohat Faiday mand

Forum Posting
Thordi C Mushkil lakin lifetime Faida mand

directories submission
Free wali

Article Writing

Creating Blogs for backlinks
Yeah Thorda sa time Talab Lakin sab se important kam hai Agar Aap apni site ko Bohat zaida Mashoor aur Acchy website ki tarz pe banana chatay hain

1st Lesson

A-o-A

Jee janab itnay dinoon ke bad ab time mila ik to load shading oper se Kam Ka load khaire yeah to chalta rahay ga Ab To kion na time mila hai to kuch kaam ki batien ho jaien ...

Sab se pahlay

Hum atay hain un logoon ki taraf jo Free web site's , blogs yan paid site's bana to laitay hain lakin jantay nahi us Pe traffic kaisay laien ... Kuch log to jaisa ke pahli post main kaha ke yahoo pe larkioon wali id bana ke ( yan larkoon wali hi sahi yaar ) logoon ko message kertay hain ke yeah link check kijye aur Dekhien ke jo last corner pe link hai wo sahi kam ker raha hai ke nahi ??(yan phir kuch aur aisay hi jhooti batien ker ke Adcene pe click kerwatay hain )*
Aap logoon ko ik baat bata doon ke iska Waqti torde pe to Faida hota hai lakin long terms iska nuqsan hi nuqsan hai ...yan to google Aapka adcene acount block ker de ga , yan site Band ker de ga .Yani ke iska kuch Faida nahi ho ga Aapko ...

To chalye Aaj ke Pahlay lesson main Aapko Sab se Asan aur Free wala tareeka batatay hain ...

Blog Posting ...

Agar Aap kisi blog ke malik hain to Jis topic ke baray main Aapka blog hai us ke Related blog search kijye Aur unki post Parde ke Koi Accha sa Comment post ker de ...Post to Aap kisi Tarah ka bhi post ker saktay hain (jaisa ke Aapka blog bohat accha hai mujhe pasand aya waghira waghira)* Lakin agar Aap uski post Read ker ke koi Accha sa message (topic jo chul raha ho ga uske related )* To jitnay log us blog pe aien gay Wo Aapke message se inspire ho ke Aapke blog pe bhi aien gay ...Yani ke jab us blog pe user atay rahien gay Aapko bhi faida hota rahay ga ...
Dekh Lien is ik message ka Faida aapko sara din yahoo pe post kernay se bohat zaida ho ga Aur to aur Aapka wo message jitna Zaida read kiya jaye ga utna hi Search engine's ( khas torde pe google ki nazroon main Aapki site ki ahmiyat baray gi )* jo ke sab se zaroori cheez hai ... is se Aapke back link Zaida improove hoon gay

back Links bharhana (link building )
Agar Aap ne koi site banye hai aur aap chatay hain ke Aapko kuch na kerna paray aur log khud ba khud aapki site ko search ker ke Aapki site pe ana shuroo ho jaien to iske liye sab se zaroori Cheez jo hai wo hai Aapke back links , Aur yeah ke Aapke back links kahan paray hain ...yani ke Aapke site ke link jitny acchy site pe yan blog pe hoon gay Aapki site ko utny zaida ahmiyat milay gi . matlab ke Aap agar Apnay blog (site) ke sath Apna message jitnay acchay blog yan site pe Dalian gay Search engine's (google , Yahoo , Msn )* Aapke blog ko utny hi ahmiyat dien gay ...
jitnay zaida aapke back links hoon gay Utny hi zaida Aapki site ko ahmiyat (importane)* milay gi Aur jab bhi koi banda kuch aisay words jo Aapki site ke topic se miltay joltay hain search karay ga to Search engine Aapki site ko Search result main Sab se 1st page pe dekhaye ga (Agar Aap Doosri site jo ke aap ki site se related hain Zaida qulity walay back link dal detay ho to)*...iska matlab yeah ho ga ke jis banday ne search ki hai Wo pahlay page wali sab site's to zaroor check keray ga Aur agar Aapki site (blog) 1st page pe huwa to aapki site pe bhi zaroor aye ga ...
agar aik dafa aapki site Search engine main 1st page pe aa jaty hai to Aapko is pe kuch khas mahnet kernay ki zaroorat paish nahi aye gi bas aapki site pe vistor khud ba khud anay lag jaye gi ...

My First Post

Aslam_O_Alikum
Kaisay hain Aap log ? Umeed hai bohat khush hoon gay aur thorday se parishan bhi , jaisa ke Aaj kal Pakistan K haalat jaa rahay hain . Koi Baat nahi Aap yeah soachnay ke bajye ke Pakistan ka aur Pakistan ke Rahnay waloon ka kia bannay ga , Aur yeah Soachnay ke bajye ke Pakistan Ke halat ab Aur bad ter Se bad ter hoon gay , In halat ke Acchay honay ki Dua kion nahi kertay ...?
Yeah Dua kion nahi kertay ke Ya Allah hamray Pakistan ko her dushman Se Aur her balla se mahfooz farma . Aur Pakistan ke halat thik Farma , Acchay Soachain gay To Insha Allah Accha hi ho ga ... Insha Allah

yeah to Rahien Thordi See off the Record batien ...Aur aksar Aisy batien Aaj kal hamien Jazbati ker detien hain hum Pakistan ke buray halat ke baray main bolna shuroo hotay hain to Ruktay hi nahi bas bolay jatay hain aur hamesha nagtive baat kertay hain ke Aaj yeh ho gaya Aaj wo ho gaya , Aaj America Ne Itnay banday mar diye , Aaj is Compony ne Pakistan Se Apnay Paisay nikal liye Waghira waghira ....

OOOOOOOOOOPS
Sorry again main Phir Track se hut gaya ...
To Chalye janab hum Phir Wapis atay hain Apnay kam ki taraf ...

Sab Se Pahlay Main yeah bata doon ke main ne yeah blog kion banya ??

Kion Banya yeah mujhe khud nahi pata ... i mean idea kuch jamta to nahi lakin phir bhi main batanay ki koshish kerta hoon ...
Main ne Aksar dekha hai ke (india main to bohat se log blog ko Sanjeedgi se laitay hain )* Lakin Pakistan Main log in blogs ko Sirf Google Add ke liye istamal kertay hain ...kisi Filmi Actress ki Tasweer laga li Aur phir google ki ad Laga li Aur phir yahoo pe lardki ban ke uski publcity kertay hain ...Aur agar koi yahoo user blog pe aa ke ad pe click Ker de to khush ho jatay hain bas ... aur unki yahi yahoo advertisment ik din unke acchay khasay kam pe pani phaire dety hai Aur Google na ke unka adcen Acount Block Ker deta hai balkay unki Site, blog , Forum ko bhi block ker deta hai ...jis se unki Sab umeedoon pe pani fir jata hai ($ kamnay wali umeedain )
main ne bohat kum blogs aisay dekhay hain jin ko pakistani kisi Acchay maqsad ke liye use kerien ( bohat kum matlab 100 main se sirf Aik )*
Maqsad mara bhi koi Khas accha nahi hai ...Main bas show off kerna chata hoon honestly** Lakin mery koshish ho gi ke main is show off ke sath sath kisi ke kam bhi aa sakoon ... Mujhe khushi ho gi ke maray diye hoye ik mashwaray se kisi ik BHAI yan Bahen ne Faida uthaya to ...Aur Insha Allah ik na ik din koi badnaseeb mil hi jaye ga mujhe ( lol jo-king)*
Asal main Aisa blog bannay ka idea mujhe is liye aya ke jab main SEO (Search engin optimazation )* Ke baray main kuch nahi janta tha(janta to maybe ab bhi bohat kuch nahi Lakin bohat kuch jaan bhi gaya hoon )* to main ne bohat se logoon se poocha ke janab yeah kia hota hai aur agar main koi site banoon to use kaisay Pormote keroon ???
Lakin main ne jis se bhi poocha Apnay acchay dostoon se bhi unhoon ne bas yahi kah ke mujhe tarkha diya ke jaoo bhai yeah kam tumharay bas ka nahi hai ...
Yani ke kisi ne batane ki jurat hi gawara nahi ki i don't know why ...To main ne us waqat soacha ke haan main is ke baray main sab jaan ke rahoon ga chaye koi batye na batye To Allah ka shuker hai pichlay 4 years main mujhe sab kuch to nahi lakin bohat kuch pata chul chuka hai ...
Aur mery koshish ho gi ke Main Aap logoon ko Aisy bohat C batien bata sakoon jo mujhe kisi ne nahi batien thien Aur jo ke Pakistan main bohat se log nahi jantay ...i mean Pakistan ki 17 caroor Awam main se sirf 40,000 log it Se munsliq hain aur baki takreeban 3 or 4 caroor awam jo ke Computer chalaty hai IT ke baray main kuch nahi janty ...
aur 40,000 log IT Se munsliq hain wo bhi SEO(search Engine Optimization)* Ke baray main bohat kum janty hai ... Zaida terd log developing ke baray main jantay hain
Pakistan main bhi bohat se log hain jo profashnal SEO ker Rahay hain aur bohat se log hain Jo Best Way main ker rahay hain Un main se agar koi mery yeah boring Post Read karay to un se humble Request hai ke Please thorda Sa knowledge mujhe bhi dejye ga aur un ko bhi jo iske baray main Kuch Zaida nahi jantay ...

To yeah Raha Taruf maray Blog ka kion Main ne yeah blog bannay Ki jurat Gawara kion ...Ab Aap log mujhe batien gay ke main ne Accha kiya yan bura ...
So Agar Aap log mery yeah itny lambi aur boring post PArde ke is line pe pohanch chukay hain to please Agar Aap xpert hai SEO Ke to mujhe Aur is blog ke Readers ko koi na koi Tip Zaroor de ke jaye ga ...
Aur Agar Aap log SEO ke baray main kuch Zaida nahi jantay aur kuch janna chatay hain To please mujhe Se Poochay ga main Aapko uske baray main zaroor batoon ga
Insha Allah

Apni Duoon main yaad rakhye ga mujhe
Aapka Apna
Rehan Ahmed