Search engine Optimization ke liye sab se zaroori baat yeah ke Aap Normal visitors , Yani ke Aam banday ko samnay rukh ke uski optimization kerien, Faraz kerien ke Aap ik Keywords ke liye Apni site ki optimization kertay hain aur us keyword ke liye Aapki site top pe Aa jati hai lekin Ab wo keyword koi search kerta hi nahi to Aap ko kia Faida...???? So sab se pehlay yeah dekhien ke Aap kis ite kis baray main hai ,Aur Aapki site pe puhanchnay ke liye log konsa keyword search kerna zaroori samjhien gay , so yeah sab se zaroori hai ke Aap koi bhi site banay se pehlay planning kerien , Aur phir dekhien ke log konsa keyword zaida ter use kertay hain Aisy site dhonay ke liye Search engines main ... iske bad is baat ko pakka kerien ke Aapki site ke content main aur titles main wo keywords hain phir uske bad uski optimization shuroo kerien , Aur iske liye yeah nahi ke idher udher se articles search ker ke Apni site pe post ker diye, aik baat yaad rakhien her search engine Quality Aur unique content ki sites ko pasand kerta hai , uske bad wo links ko ahmiyat detay hain, So iska matlab yeah nahi ke Aap ne site bana li aur yahan wahan se paker ke content jama ker liya us per phir uske liye dhare saray links build ker liye to Aapki Site top pe Aa jaye gi.
Title Tag
Title Tag sab Se important aur power tecnque hai jo Aap asani se apni site ki promotion kernay ke liye use ker saktay hain aur is ke liye aapki site yan blog ke her page ka Title unique aur wo keyword hona chaye jis pe aap chatay hain ke log search ker ke Aap ki site pe aien Avoid Common Anchor Text Koshish kerien ke her Page pe Aik jaisa title na ho , kion ke ho sakta hai search engine is ko Spamming samjh lien aur aapki site ko ignore ker dien, Zaida se Zaida koshish kerien ke Aapki site Spammy nazar na aye balkay natural lagay . hamesha diffrent anchor text use kernay ki koshish kerien Apnay page ke titles main ,is se aapki site yan blog buhat saray keywords ke liye optimize ho sakay ga, balkay kuch pages pe to Aapko itny mihnat bhi nahi kerni paray gi aur wo khud ba khud Search engine main Aa jaien gay , So Page ke title ko Repeat na kerien
Install Site Map
Site map bhi buhat important and Zaroori cheez hai search engines ko yeah batanay ke liye ke Aapki site pe kahan kia Topic hai aur konse keyword ke liye konsa page zaroori hai , Aur iska doosra bara faida yeah hai ke is Se Aapki site pe anay Walay Visitors ko bhi pata chalay ga ke Use kis page pe kia cheez milay gi
Create a Good Content
her SEO Aaj kal yahi kehta hai ke Content is king aur yeah jhoot bhi nahi hai , Agar Aapki site pe unqiue and interesting content majood hai to yeah Aapki site pe anay walay visitors ko aur seach engines ko bhi attract keray ga, Aur to aur yeah Aapki site ka pr aur SERP Ranking barhanay main bhi madad keray ga , isi liye Apni site yan blog pe hamesha unique and Fresh content hi post kerien
Relevant and quality back links
link building kertay waqat sirf yeah yaad mut rakhien ke Aap ko sirf back links chaye balkay yeah bhi yaad rakhien ke back links Quality ke hain ... Ab qualit back links ka kaisay pata Chalay ga Aap ko ??? well kisi bhi back link ka quality ka link honay ka pata is tarah chalta hai ke kia wo page yan site jo Aapko back link ker rahi hai wo aapki site ke topic ke sath relevant bhi hai ke nahi , Agar wo Aapki site ke sath relevant hai to yeah ho ga Quality back links Aapki site ke liye, lekin ager Aap back link her airy ghairy site se le rahay hain to yeah back link to ho ga lekin is main koi quality nahi ho gi. yaad rakhien 10 quality ke back links Related site se is se zaida ahmiyat rakhtay hain ke Aap 1000 back link un related site se lien...